Comprehensive Computer Learning (CCL) (Hindi)- All Issues
"Comprehensive computer learning series ke antargat chapne wali pustake vishesh roop se pathko ko dhyan me rakhkar taiyar ki gayi hai jisse ki unhe computer ke karya pranali sambandhi koshal me sudhar aur saath hi saath apne bhavishya ko sudharne me sahayta mile. Prastut shrankhla step by step nirdesh aur prasangit screenshots ki madad se pathko ko vyapak roop se computer ki behtar samajh ke saksham banati hai spashtha roop aur saral bhasha me likhi gayi bina takniki shabdjaal ki is shrankhla ki pratek pustak ke saath ek interactive cd sammilit hai. Pustake English & Hindi me uplabdh hai. Prastut pustak me sadharan toor par computer ke bare me sabhi aavashyak jankari prastut ki gayi hai jaise ki Hardware aur Software sambandhi jankari computer set karna Microsoft office aur anya prachalit software ko internet se jodna digital media me kaam karne ke tarike cd ko burn karna movie dekhna paise ka online prabandhan home network setup karna PC ko bharosemand tarike se chalana, spem virus aur spyware se PC ko surakhshit rakhna PC ki thik se safai ityadi. Is comprehensive guide me step by step aur screenshots ki madad se PC se bharpoor madad praapt karne ke sulabh tarike prastut kiye gaye hai aasan shabdo aur spashtha bhasha me.